Sahara Chahiye Sarkar

More videos
43
Views
   

Sahara Chahiye Sarkar by Hafiz Tahir Qadri

Lyrics
Mere aaqa madiny bula lijiye
Mere aaqa madiny bula lijiye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoon madine ki haazri k liye

Tayyaba k jaany waly Jaa kr bary adab se
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se

Kehna k shah-e-aalam Ek ranjo ghum ka mara
Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara
Haalat e pur alam se iss dum guzar raha hai
Or kampty labon se faryaad kr raha hai

Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aesa jo pochny ko aaye

Bola howa musafir manzil ko dondta hai
Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai
Seeny mein hai andhera Dil hai shiyaah khana
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana

Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se

Sarwar qabr-e-ghum hai ashkon se aankh num hai
Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo
faryaad kr raha ho main dil figar kb se
Mera bhi qissa-e-ghum kehna mery nabi se

Hazoor aesa koi intzamm ho jaye
Salam k liye hazir ghulaam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindgi k liye
tarap raha hoo madine ki hazri k liye

Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
K dawa wahi mily gi mujy le chalo madina

Nahi maal-o-zar to kya hai main greeb hoo yahi na
Mere ishq mujh ko le chal tuhi janb-e-madina

Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na

Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahy hain
Un aashqo ka sadqa bolwaeye madina

Mere aaaqa madiny bula lijiye

Madiny jaaon, phir aaon, dobara phir jaaon
Ye zinagi meri yonhi tamam ho jaye

Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ae aazm-e-madina ja kr nabi se kehna
Sody humen alam se ab jal raha hai seena

Kehna k bar rahi, ab dil ki iztrabi
Qadmo se door hoo mai, qismat ki hai khrabi

Kehna k dil me mere arman bhary howe hain
Kehna k hasrtoon k nashtar choby howe hain

Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao
Sultan-e-do jahan ko daaghy jigar dikhao
Kaato hazar chakar, tayyaba ki har gali k
Yonhi guzaar do aayam zindgi k

Pholon py jaan nisaron kanton py dil ko waaron
Zarron ko doon salami dar ki karon ghulami
Dewaro dar ko chomon chokhat py sar ko rakh doon

Rozy ko dekh kr main, rota raho brabar
Aalam k dil mein hai ye, hasrat najaany kab se
hum sab k hai dil mein hasrat najany kab se
Mera bhi qisa e ghum kehna shah-e-arab se

Sahara chahaye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Ek roz ho ga jaana sarkar ki gali mein
Ho ga wahi thikana sarkar ki gali mein

Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten
Jana to aese jana, sarkar ki gali me

Ya mustafa khudara do izn haazri ka
Kr lo nazara aakr main ap ki gali ka

Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Iss bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka

Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindgi ki madiny mein shaam ho jaye

Shahra chahye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye

Bula lo na bula lo na

(43)

1 Comment

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>