Sahaba Aur Ahlebait by Hafiz Tahir Qadri
Lyrics
Hub E Sahaba, Ishq E Ahlebait
Sahaba Or Ahlebait Dono Se Pyar He
Sahaba, Ahlebait Ke Hum, Wafadaar
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Main Jo Kuch Hon Rasool E Paak Ke Tukron Pe Pal Kr Hon
Namos E Sahaba, Namos E Ahlebait Par Pehra Dete Rahain Ge Aanch Na Aane Den Ge
Ghulam Hon Ghulaam Hon Sahaba Ahlebait Ka
Mere Imaan E Kamil Ka Suno Mayar Dono Hain
Muhammad Ki Nigah E Faiz Se Sarshaar Dono Hain
Nabi Ki Aal Or As’haab Main Ye Farq Kesa He
Zamana Jaan Le Sara Mera To Pyar Dono Hain
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Ahlebait Pyare Hain Sahaba Sab Sitare Hain
Aal E Muhammad Se As’haab E Muhammed Se Pyar He Pyar He Pyar He
Sahaba Or Ahlebait Se Bas Pyar Krna He
Ghulaman E Muhammed Ko Boht Hushyar Krna He
Bara Makaar Dushman He Badal Kr Bhais Phirta He
Ab Inke Sare Harbon Ko Hamain Bekar Krna He
Momin Ki He Pehchan Sahaba Ahlebait
Iman Ki He Jaan Sahaba Ahlebait
Hamare Hain Imaam Sahaba Ahlebait
Hum Inke Hain Ghulam Sahaba Ahlebait
Hum Jinke Wafadaar Sahaba Ahlebait
Hum Jinke Pehrydaar Sahaba Ahlebait
Ali Ke Ghar Se Izat He Ghulam E Sayeda Hun Main
Ye Dar Rehmat Hi Rehmat He Ghulam E Sayeda Hun Main
Meri Ye Nokri He Panjtan Ke Geet Gaon Ga
Mujhy Dil Se Aqeedat He Ghulam E Sayeda Hun Main
Sahaba Or Ahlebait Dono Se Pyar He
Ghulam Hon Ghulaam Hon Sahaba Ahlebait Ka
Sahaba Se Jahan Bhar Main Muslmani Salamat He
Hamari Jitni Izat He Sahaba Ki Badolat He
Pakar Lo Inka Daman Aaj Bhi Inki Zarorat He
Inhen Chora To Dunia Main Qayamat Hi Qayamat He
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Hub E Sahaba, Ishq E Ahlebait
Chalo Sab Mil Kar Hum Chomein Dar E Aal E Muhammed Ko
Ke Har Mushkil Main Hum Dekhein Dar E Aal E Muhammed Ko
Nabi Ki Aal Na Hogi To Dunia Bhi Nahi Hogi
Hamen Lazim He Keh Thamen Dar E Aal E Muhammed Ko
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Ghulam Hon Ghulam Hon Sahaba Ahlebait Ka
Zamane Se Buht Onche Muhammed Ke Ye Ghar Wale
Shujaat Main Buht Aage Muhammed Ke Ye Ghar Wale
Nahi Milti Misal Esi 72 Sar They Nezon Per
Ye Dekho Karbala Wale Muhammed Ke Ye Ghar Wale
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Zahra Ka Noker Hon, Siddeeq Ka Noker Hon
Wafa Ke Raste Se Loutna Acha Nahi Hota
Ta’aluq Shatmo Se Jorna Acha Nahi Hota
Hamesha Khush Naseebi Unke Ghar Se Rooth Jati He
Nabi Ke Sathion Ko Chorna Acha Nahi Hota
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Ahlebait Pyare Hain Sahaba Sab Sitare Hain
Aal E Muhammad Se As’haab E Muhammed Se Pyar He Pyar He Pyar He
Abu Bakker O Umer Farooq Usman E Ghani Haider
Aqeeda Ahl E Sunnat Ka Ye Charon Jannati Haq Par
Ujagar Ab Samjh Aaya Munafiq Bhonkte Kiun Hain
Jahnum Main Jo Jaen Ge Wo Manne Ge Bhala Kiun Kar
Sahaba Or Ahlebait Main Dono Ka Noker Hun
Ghulam Hon Ghulaam Hon Sahaba Ahlebait Ka
Pehra Dete Rahain Ge Aanch Na Aane Den Ge
(36)