Nabi Ka Astaan Naat lyrics
Titel: Nabi Ka Astaan
Naat Khawan: Owais Raza Qadri
Lyrics
Nabi ka aastaan ho aur mera sar ho to kya kehna…
Dam e aakhir agar aisa muqaddar ho to kya kehna
Gubaar e raah e taiba mere sar par ho to kya kehna…
Jo wo khak e kaf e paaye payambar ho to kya kehna
Kisi paththar k neeche meri turbat ho madine mein…
Wo paththar bhi unhi k dar ka paththar ho to kya kehna
Jinhein aa aake chumein wo hawaein sabz gumbad ki…
Meri turbat pe un phooloon ki chadar ho to kya kehna
Khusha qismat jo dam bhar ko wo nazre zindagi bakhshi…
Ye aalam zindagi ka zindagi bhar ho to kya kehna
Khuda ka saamna hai ru ba ru hain shaafa e mehshar…
Munawwar ab zra naat e Munawwar ho to kya kehna
Click here
(6)