Naat Sarkar Kee Parhta Hoon

More videos
26
Views
   

Naat Sarkar Kee Parhta Hoon by Milad Raza Qadri

Lyrics
Naat sarkar kee parta hoon mein
Bas isee baat sey ghar main merey rehmat ho gee
Ik tera naam waseela hey mera
Ranjo-o-gham main bee isee naam sey rahat ho gee

Yeh suna hey kay bohot gaur andheree ho gee
Qabr ka khauf na rakna ey dil
wahan sarkar kay chehray kee ziarat ho gee

Kabhi yaseen khabi tauha khabi walail aya
Jis kee kasmain mera rab kaata hey
Kitnee dilkush mere mehboob kee soorat ho ho gee

Hashar ka din be ajab deknain wala ho ga
Zulf lehra kay wo jab aeyn gay
Pir qayamat pey be khud aik qayamat ho gee

Un ko mukhtaar banaya hey mere Allah nain
Khuld main bas wohee ja sakta hey
Jis ko hasnain kay nana kee ijazat ho gee

Do jahan main ussay pir kaun panah main lay ga
Ho ga ruswa wo sar-e-hashr jissay
Syeda zahra kay bachon sey adawat ho gee

Un kee chaukat pey parey hein to baree mauj main hein
Laut kay aeyn gay jab us dar sey
Merey dil tu hee bata kiya teree haalat ho gee

Rushk sey door karey dektay hon gay zaahid
Jab sar-e-hashr gunahgaron par
Merey aaqa ka karam ho ga inayat ho gee

Mera daman to gunahon sey bhara hey altaaf
Ik sahara hey kay ham terey hein
Isee nisbat sey sar-e-hashar shafa’at ho gee

(26)

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>