Mujh Pe bhi Chashm e Karam by Muhammad Hassan Raza Qadri
Lyrics
Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna
Haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna
Tu kisi ko uthata nahi apne dar se
Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna
Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena
Main hu beemaar tera kaam hai achcha karna
Mai ke zarra hu mujhe wusate sahra dede
Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna
Ye tera kaam hai aye Aamina ke durre yateem
Saari ummat ki shafa’at tanhe tanha karna
Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna
Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi
Kehne waale ise kehte hai Khuda karna
(6)