Maula Ya Salli Wassalim

More videos
30
Views
   

Maula Ya Salli Wassalim by Danish & Dawar

Lyrics
Saher ka Waqt tha Maasum kaliyaan Muskuraati thin
Hawaaein Khair-Makhdam ke taraane gungunaati thin

Abhi Jibreel bhi Utre na the Kaabe ke Mimbar se
Ke Itne mein Sadaa aayi hai Abdullah ke Ghar se

Mubaarak ho Shahe Har do saraa Tashreef le aaye
Mubaarak ho Muhammad Mustafa Tashreef le aaye

Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan
Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi

Muhammadun Sayyidun Kaw-Nayni wa Sakalayni
Wal Farikayni Min Arabiwwa Min Ajami

Na koi Aap jaisa hai na koi Aap jaisa tha
Koi Yusuf se puchhe Mustafa ka husn kaisa tha
Zameenon Aasman mein koi bhi misaal na mili

Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan
Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi

Durud Unpar Salaam Unpar yahi kehnaa Khuda ka hai
Khuda ke baad jo hai Martabaa Salle Alaa ka hai

Wahi Sardaare Aalam hai Wahi Ghamkhware Ummat hai
Wahi to Hashr ke maidaan mein sabki shafaa’at hai
Shafaa’at ke liye sabki nazar Un par lagi hogi

Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan
Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi

Salaam Us par ke Jisne bekason ki Dastagiri ki
Salaam Us par ke Jisne Baadshahi mein Fakiri ki

Salaam Us par ke Jiske Ghar na chaandi thi na sonaa tha
Salaam Us par ke toota boriya Jiska bichhonaa tha

Salaam Aye Aamena ke Laal Aye Mehboobe Sub’haani
Salaam Aye Fakhre Maujudat Fakhre No-e-Insaani

Teri Surat, Teri Sirat, Tera Naksha, Tera Chalna
Tabassum, Guftagu, Banda Nawazi, Khalkate Shaani

Tera Dar ho Mera sar ho, Mera Dil ho Tera Ghar ho
Tamanna Mukhtasar si hai, magar Tamheed Tumhaani

Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan
Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi

(30)

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>