Khuda Ka Noor Hai Ghalib HAMD lyrics
Titel: Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Naat Khawan: Muhammad Hassan Raza Qadri
Lyrics
Teri Zaat Paak Hai Ae Khuda
Teri Shan Jalla JalaaluHu
Nahi Koi Tujhsa Doosra
Teri Shan Jalla Jalaluhu
Tere naam par ae mere khuda
Mera dil fida meri jaañ fida
Meri rooh ki hai yehi ghiza
Tera naam lab pe rahe sada
Tera daali-daali me wasf hai
Tera patti-patti me noor hai
Tera ghunche-ghunche me rang o boo
Teri shan jalla jalaaluhu
Tera Jalwa dono jahan me hai
Tera Noor koun o makañ me hai
Yun tu hi tu, tu hi tu
Teri Shan
Teri Shan jalla jalaalu hu
Zamin o Aasmanoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Chamakte Chand Taroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Zamin o Aasmano Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Jo Khilte Hain Mahakte Haiñ
Chaman Me Phooloñ Ko Dekho
Yahan Ke Lalah-zaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Zamin o Aasmano Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Kahiñ Pe Phool Khilte Haiñ
Kahiñ Murjhaane Lagte Haiñ
Khizaaoñ Me Baharoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Ye zamin jab na thi, aasmañ jab na tha
Chand suraj na the, ye jahan jab na tha
Raaz e haq bhi kisi per ayaañ jab na tha
Jab na tha kuchh yaha, tha magar tu hi tu
Chand taroñ ki shaan e jamali me tu
Sabz pattoñ me, phooloñ ki laali me tu
Khoshe-khoshe me tu, baali-baali me tu
Tahni-tahni me tu, daali-daali me tu
Wo Jisne Saare Aalam Ko
Samaya Hai, Sajaya Hai
Pahaadoñ Aab-shaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Zamin o Aasmanoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Tasavvur Me Takhaiyul Me
Use Mahsoos Karta Hooñ
Samandar Regh-zaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Mubarak Ho Tumhe Ghalib
Sana-khwani Mad’ha-khwani
Kitabullah Ke Paaroñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Maula-Maula Maula
Maula-Maula Maula
(24)