Faslon ko taklluf hy hum s agar by Hafiz Abdul Razzaq
Lyrics
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi bebas nahin besahara nahi
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay
Hum Madinay mein tanha nikal jayengey
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey
Hum wahan jakey wapas nahin ayengay
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga
Sar jhukane ki fursat milay gi kisey
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey
Naam e Aaka jahan bhi liya jayega
Zikr unka jahan bhi kiya jayega
Noor hi noor seeno mein bhar jayega
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey
Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye
Dastaan e safar mujko yoon mat suna
Baat bhar jayegi dil tarap jayega
Meray mohtat ansoo chalak jayegay
Unki chashme karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar
Humko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney
(14)