Apne Daman e Shafaat by Hafiz Tahir Qadri
Lyrics
Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna
Jab sare hashr sawaa neze pai suuraj aaye
Aapni kamli ka gunahgar pai saye rakhna
Un ke aane ki ghadi hai wo hain aane waaley
Mere sarkar ki mehfil ko sajaaye rakhna
Zarraye khaak ko khursheed banane waley
Khaak hoon khaak ko Qaadmoon se lagaye rakhna
Mere sarkar meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna
(88)