Aik Me Hi Nahi Un Pr Qurban Zamna Hai by Azam Qadri
Lyrics
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai
Kal Pul Se Hamein Jis Ne Khud Paar Lagana Hai
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai
Aao Dar E Zahra Par Phelaye Hue Daaman
Hain Nasl Kareemon Ki Lajpaal Gharana Hai
Hoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein
Kya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai
Izzat Se Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par
Youn Bhi Kisi Din Hum Ko Duniya Se Toh Jana Hai
Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Mein Kuch Mohlat
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai
Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai
Pur Noor Si Raahein Hain, Gumbad Pe Nigahein Hai
Jalwe Bhi Anokhe Hain, Manzar Bhi Suhana Hai
So Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai
Qurban Us Aaqa Par Kal Hashr Ke Din Jisne
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai
Har Waqt Woh Hai Meri Duniya E Tasawwur Mein
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai
Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Ne Mana Hai
Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Saahil Toh Purana Hai
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai
(2)